Showing posts with label hindu bhajans. Show all posts
Showing posts with label hindu bhajans. Show all posts

Monday, 10 August 2015

Hey Shiv Shankar, Shiv Bhajans Full Audio Songs Juke Box I Hey Shiv Shankar

Hey Shiv Shankar, Shiv Bhajans Full Audio Songs Juke Box I Hey Shiv Shankar

Monday, 6 July 2015

Famous Shiv Bhajan - Ek Dina Bhole Bhandari

Famous Shiv Bhajan - Ek Dina Bhole Bhandari



Devkinandan Thakur ji Maharaj Ji Bhjan

Devkinandan Thakur ji Maharaj Ji Bhjan - Aisi Bansi Bajai Shyam ne



 Listen More Bhajan of Devkinandan Thakur ji - Patta Patta Dali Dali Mera Sham Vasda
Next Bhajan -  Patthar Ki Radha Pyari Patthar Ke Krishna Murari Bhajan

Monday, 6 April 2015

Krishna Bhajan by Shri Devkinandan Thakurji

Krishna Bhajan by Shri Devkinandan Thakurji - Famous Krishna Bhajan
Watch " Aayi Menu Radhe Rani Teri Yaad By Devkinandan Ji” from Shri Devkinandan Thakurji

Saturday, 15 September 2012

Shri Sham Baba Wallpaper


• Shri Shyam Baba
Om Jai Shrishyam Hare, Baba Jai Shrishyam Hare
Khatudham Virajat, Anupam Roop Dhare ||Om Jai||
Rattan Jadit Singhasan Sir Par Chanwar Dhure |
Tan Kesariya Bago, Kundal Shrawan Pade ||Om Jai||
SHREE KHATU SHYAM JIGal Pushpo Ki Mala, Sir Par Mukut Dhare |
Khewat Dhoop Agni Par, Deepak Jyoti Jale||Om Jai||
Modak Khir Churma, Suwarn Thal Bhare |
Sewak Bhog Lagawat Sewa Nitya Kare||Om Jai||
Jhanjh Katora Aur Ghadial, Shankh Maridung Dhure |
Bhakat Arti Gave, Jai Jaikar Kare||Om Jai||
Jo Dhayave Phal Pave, Sab Dukh Se Ubre |
Sewak Jan Nij Mukh Se, Shri Shyam-Shyam- Uchrae||Om Jai||
Shri Shyam Baba Ji Ke Arti Jo Koi Nar Gave |
Kahat 'Alusingh' Swami, Man Vanchit Phale Pave||Om Jai||
Jai Shrishyam Hare, Baba Ji Shri Shyam Hare |
Nij Bhakto Ke Tumne, Puran Kam Kare||Om Jai||


• Prayer
Hath Jod Vinti Karu, Sunio Chit Lagaye.
Das Aa Gayo Sharan Me, Rakhio Mahari Laaj.
Dhanya Dudharo Desh Hai, Khatu Nagar Sujjan.
Anupam Chavi Shri Shyam Ki, Darshan Se Kalyan.
Shyam-Shyam To Ma Rattu, Shyam Hai Jiwan Pran.
Shyam Bhakat Jag Me Bade, Unko Karu Parnam.
Khatu Nagar Ke Beech Me, Banyo Apko Dham.
Phalgun Shukla - Dwadashi, Utsav Bharti Hoaye.
Baba Ke Darbar Se, Khali Jaye Na Koye.
Umapati, Laxmipati, Sitapati Shriram.
Lajja Sabki Rakhiyo, Khatu Ke Baba Shyam.
Paan Supari Ilachi, Attar Sugandh Bharpur.
Sab Bhaktan Ki Vinti, Darshan Devo Hazoor.
'Alusingh' To Prem Se, Dhare Shyam Ko Dhyan.
Shyam Bhakat Pawe Sada Shyam Kripa Se Maan.

Thursday, 6 September 2012

Yashomati Maiya Se Bole Nandlala Bajhan

Yashomati Maiya Se Bole Nandlala Bajhan



Yashomati Maiya Se Bole Nandlala
radha kyun gori main kyun kala

boli muskati maiya lalan ko bataya kaali andhiyari andhi raat mein tu aaya
laadla kanhaiya mera ho…
laadla kanhaiya mera kaali kamli wala isi liye kaala
yashomati maiya se bole nandlala radha kyun gori main kyun kala

boli muskati maiya soon mere pyare gori gori radhika ke nain kajrare
kaale naino wali ne ho…
kaale naino wali ne aisa jaadu daala isi liye kaala
yashomati maiya se bole nandlala radha kyun gori main kyun kala

itne mein radha pyari aayee ithlati maine na jadu daala boli balkhati
maiya kanhaiya tera ho…
maiya kanhaiya tera jugse nirala isi liye kaala
yashomati maiya se bole nandlala radha kyun gori main kyun kala

Raghupati Raaghava Raajaa Raam Bhajan

Raghupati Raaghava Raajaa Raam
patit paavan siitaa raam

siitaa raam siitaa raam
bhaj pyaare tuu siitaa raam
Raghupati Raaghava Raajaa Raam

iishvar allaah tere naam
sabako sanmati de bhagavaan
Raghupati Raaghava Raajaa Raam

raat ko ni.ndiyaa din to kaam
kabhii bhajoge prabhu kaa naam
karate rahiye apane kaam
lete rahiye hari kaa naam
Raghupati Raaghava Raajaa Raam

Wednesday, 8 August 2012

Krishan Janmashtami Bhajans


Chadar lambi taan na so
Chadar lambi taan na so, Shyam japo Shyamjapo
Jiwan ki ghariya vyartha na kho, Shyam japo Shyam japo.

Duniya mein aake kya kiya, ghari bhar na prabhu ka naam liya
Vishayan de vich jindagi na kho, Shyam japo Shyam japo.

Shyam toh sukh ka saar hai, jiwan ka aadhar hai
Uske siwa marg na koo, Shyam japo Shyam japo

Bhakti mein manua dhyan dhar, ujraa ghar aabad kar
Agyan ka bande neend na so, Shyam japo Shyam japo

-------------------


Bhajo Radhe Govinda

Bhajo Radhe Govinda
Gopala Tera pyara naam hai
Gopala Tera pyara naam hai
Nandalala Tera pyara naam hai

Mor mukat maathe tilak viraje
Gale vaijanthimala Gale vaijanthimala
Koi kahe Vasudev ka Nandan
Koi kahe Nandalala Koi kahe Nandalala
Bhajo Radhe Govinda . . .

Gaj aur Grehe lade jal bitar
Jal mein chakra chalaya Jal mein chakra chalaya
Jab jab bhid padi bhagaton par
Nanggi pairin dhaya Nanggi pairin dhaya
Bhajo Radhe Govinda.

------------------

Mere Pyare Madan Gopal

Choti choti gaiyan, chote chote gawaal,
chote se mere, madan gopal

mor mukut mathe saaje, gale mein swaranmaal,
chote se mere madan gopal

Kaano mein karanphool, haathon mein ratnajadhit hath haar,
chote se mere madan gopal

pitamber saaje tan pe, uspe sundar motiyon ki maal
chote se mere madan gopal

pairon mein jhanjhar sohe, jab nache hari angana dwaar.
Chote se mere madan gopal

Bhaye sab ke mann ko bal gopal,Karke solah shringar,
chote se mere Madan Gopal

Krishna Janmashtami 2012


Janmashtami is the joyful celebration of Lord Krishna's birth. Major celebrations of Krishna Janmashtami takes place at midnight as Krishna is said to have made his divine appearance in that hour. Fasting, bhajans, pujas and many other rituals mark Janmashtami celebrations in India.

Janmashtami Bhajans
Khul Gaye Jail ke Tale
Jab janmain Shri Bhagwan jail darmyan murliya wale
khul gaye jail ke tale

Dewki ne pati ko jagaya tha sapne ka hal sunaya tha
le jao putra Yashoda ke karo hawale
khul gaye.........

Vasudev ji ki bedi tuti thi takdir Kans ki phuti thi
ho gaye mast sab so gaye pahare wale
khul gaye......

Vasudev ji chale agadi ko le kar ke Krishna Murari ko
pahunche Yamuna tat yamuna bhare ubare
khul gaye.....

Vasudev ji ne bhed na paya tha prabhu ji ne pair badhaya tha
phunche Yashoda ke nikat muraliya wale
khul gaye..........

Ghar ghar main batat badhai hai ham sabne khushiyan manai hai
pad gaye Kans raja ki jan ke lale
khul gaye jail ke tale

Jab janmain Shri Bhagwan jail darmayan muraliya wale
khul gaye jail ke tale
------------------

Shyam chudi bechne aaya
Manihari ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya
Shyam chudi bechne aaya

Galiyon mein shor machaya,
Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Chhaliya ka bhesh banaya

Radha ne suni Lalita se kahi
Mohan ko turant bulaya
Shyam chudi bechne aaya,
Chhaliya ka bhesh banaya

Chudi laal nahi pehnu
Chudi hari nahi pehnu
Mujhe Shyam rang hai bhaaya,
Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya

Radha pehnan lagi
Shyam pehnane lage
Radha ne haath badaya,
Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya

Radha kehne lagi
Tum toh chhaliya
Bade dheere se haath dabaya
Shyam chudi bechne aaya,
Chhaliya ka bhesh banaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Manihari ka bhesh banaya

Shyam chudi bechne aaya,
Chhaliya ka bhesh banaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya.