Wednesday, 8 August 2012

Krishan Janmashtami Bhajans


Chadar lambi taan na so
Chadar lambi taan na so, Shyam japo Shyamjapo
Jiwan ki ghariya vyartha na kho, Shyam japo Shyam japo.

Duniya mein aake kya kiya, ghari bhar na prabhu ka naam liya
Vishayan de vich jindagi na kho, Shyam japo Shyam japo.

Shyam toh sukh ka saar hai, jiwan ka aadhar hai
Uske siwa marg na koo, Shyam japo Shyam japo

Bhakti mein manua dhyan dhar, ujraa ghar aabad kar
Agyan ka bande neend na so, Shyam japo Shyam japo

-------------------


Bhajo Radhe Govinda

Bhajo Radhe Govinda
Gopala Tera pyara naam hai
Gopala Tera pyara naam hai
Nandalala Tera pyara naam hai

Mor mukat maathe tilak viraje
Gale vaijanthimala Gale vaijanthimala
Koi kahe Vasudev ka Nandan
Koi kahe Nandalala Koi kahe Nandalala
Bhajo Radhe Govinda . . .

Gaj aur Grehe lade jal bitar
Jal mein chakra chalaya Jal mein chakra chalaya
Jab jab bhid padi bhagaton par
Nanggi pairin dhaya Nanggi pairin dhaya
Bhajo Radhe Govinda.

------------------

Mere Pyare Madan Gopal

Choti choti gaiyan, chote chote gawaal,
chote se mere, madan gopal

mor mukut mathe saaje, gale mein swaranmaal,
chote se mere madan gopal

Kaano mein karanphool, haathon mein ratnajadhit hath haar,
chote se mere madan gopal

pitamber saaje tan pe, uspe sundar motiyon ki maal
chote se mere madan gopal

pairon mein jhanjhar sohe, jab nache hari angana dwaar.
Chote se mere madan gopal

Bhaye sab ke mann ko bal gopal,Karke solah shringar,
chote se mere Madan Gopal

No comments :

Post a Comment