Wednesday 8 August 2012

Krishna Janmashtami 2012


Janmashtami is the joyful celebration of Lord Krishna's birth. Major celebrations of Krishna Janmashtami takes place at midnight as Krishna is said to have made his divine appearance in that hour. Fasting, bhajans, pujas and many other rituals mark Janmashtami celebrations in India.

Janmashtami Bhajans
Khul Gaye Jail ke Tale
Jab janmain Shri Bhagwan jail darmyan murliya wale
khul gaye jail ke tale

Dewki ne pati ko jagaya tha sapne ka hal sunaya tha
le jao putra Yashoda ke karo hawale
khul gaye.........

Vasudev ji ki bedi tuti thi takdir Kans ki phuti thi
ho gaye mast sab so gaye pahare wale
khul gaye......

Vasudev ji chale agadi ko le kar ke Krishna Murari ko
pahunche Yamuna tat yamuna bhare ubare
khul gaye.....

Vasudev ji ne bhed na paya tha prabhu ji ne pair badhaya tha
phunche Yashoda ke nikat muraliya wale
khul gaye..........

Ghar ghar main batat badhai hai ham sabne khushiyan manai hai
pad gaye Kans raja ki jan ke lale
khul gaye jail ke tale

Jab janmain Shri Bhagwan jail darmayan muraliya wale
khul gaye jail ke tale
------------------

Shyam chudi bechne aaya
Manihari ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya
Shyam chudi bechne aaya

Galiyon mein shor machaya,
Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Chhaliya ka bhesh banaya

Radha ne suni Lalita se kahi
Mohan ko turant bulaya
Shyam chudi bechne aaya,
Chhaliya ka bhesh banaya

Chudi laal nahi pehnu
Chudi hari nahi pehnu
Mujhe Shyam rang hai bhaaya,
Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya

Radha pehnan lagi
Shyam pehnane lage
Radha ne haath badaya,
Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya

Radha kehne lagi
Tum toh chhaliya
Bade dheere se haath dabaya
Shyam chudi bechne aaya,
Chhaliya ka bhesh banaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Manihari ka bhesh banaya

Shyam chudi bechne aaya,
Chhaliya ka bhesh banaya
Chhaliya ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya.

No comments :

Post a Comment